Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai

Khurshid Rabbani

tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai

Khurshid Rabbani

MORE BYKhurshid Rabbani

    tire firāq meñ jo aañkh se ravāñ huā hai

    vo ashk-e-ḳhūñ mire ġham tarjumāñ huā hai

    hai jaane kyā pas-e-dīvār ā.īna jis par

    yaqīn kar ke bhī dil vaqf-e-sad-gumāñ huā hai

    burīda shāḳh-e-shajar shikasta pattoñ

    tire sivā bhī koī mauja-e-ḳhizāñ huā hai

    zarā der ko us ne palaT ke dekhā thā

    zarā baat charchā kahāñ kahāñ huā hai

    bichhaḌ ke tujh se thā 'ḳhurshīd' Thikāna kyā

    ḳhushā-nasīb shab-e-ġham āstāñ huā hai

    tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai

    wo ashk-e-KHun hi mere gham ka tarjuman hua hai

    hai jaane kya pas-e-diwar aaina jis par

    yaqin kar ke bhi dil waqf-e-sad-guman hua hai

    burida shaKH-e-shajar ka shikasta patton ka

    tere siwa bhi koi mauja-e-KHizan hua hai

    zara si der ko us ne palaT ke dekha tha

    zara si baat ka charcha kahan kahan hua hai

    bichhaD ke tujh se tha 'KHurshid' ka Thikana kya

    KHusha-nasib shab-e-gham ka aastan hua hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now