Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai

Ameer Minai

tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai

Ameer Minai

tiir par tiir lagāo tumheñ Dar kis hai

siina kis hai mirī jaan jigar kis hai

ḳhauf-e-mīzān-e-qayāmat nahīñ mujh ko ai dost

agar hai mire palle meñ to Dar kis hai

koī aatā hai adam se to koī jaatā hai

saḳht donoñ meñ ḳhudā jaane safar kis hai

chhup rahā hai qafas-e-tan meñ jo har tā.ir-e-dil

aañkh khole hue shāhīn-e-nazar kis hai

nām-e-shā.ir na sahī sher mazmūn ho ḳhuub

phal se matlab hameñ kyā kaam shajar kis hai

said karne se jo hai tā.ir-e-dil ke munkir

ai kamāñ-dār tire tiir meñ par kis hai

merī hairat shab-e-vasl ye baa.is hai 'amīr'

sar ba-zānū huuñ ki zaanū pe ye sar kis hai

tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai

sina kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai

KHauf-e-mizan-e-qayamat nahin mujh ko ai dost

tu agar hai mere palle mein to Dar kis ka hai

koi aata hai adam se to koi jata hai

saKHt donon mein KHuda jaane safar kis ka hai

chhup raha hai qafas-e-tan mein jo har tair-e-dil

aankh khole hue shahin-e-nazar kis ka hai

nam-e-shair na sahi sher ka mazmun ho KHub

phal se matlab hamein kya kaam shajar kis ka hai

said karne se jo hai tair-e-dil ke munkir

ai kaman-dar tere tir mein par kis ka hai

meri hairat ka shab-e-wasl ye bais hai 'amir'

sar ba-zanu hun ki zanu pe ye sar kis ka hai

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai Fasih Akmal

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now