mang ke mujhse zindagi meri
maañg ke mujh se zindagī merī
vo parakhtā hai dostī merī
duur jis ko kiyā añdheroñ se
chhīn lī us ne raushnī merī
maiñ to dariyā ke saath thā phir bhī
bujh nahīñ paa.ī tishnagī merī
kuchh na keh kar bhī aaj phir us ne
band kar dī hai boltī merī
sab ko achchhā samajhne lagtā huuñ
hai ye 'ādat bahut burī merī
mang ke mujh se zindagi meri
wo parakhta hai dosti meri
dur jis ko kiya andheron se
chhin li us ne raushni meri
main to dariya ke sath tha phir bhi
bujh nahin pai tishnagi meri
kuchh na keh kar bhi aaj phir us ne
band kar di hai bolti meri
sab ko achchha samajhne lagta hun
hai ye 'adat bahut buri meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.