apni niyat dekh lena phir hamari dekhna
apnī nīyat dekh lenā phir hamārī dekhnā
ho tumhārī aañkh se chashma na jaarī dekhnā
tum ne apnī aañkh kī tāsīr halke meñ to lī
dhīre dhīre hogā koī kaif taarī dekhnā
ḳhauf aisā aap ne paidā kiyā thā zehn meñ
biich raste se palaT aa.ī bichārī dekhnā
raah kī pechīdgī bezār kar degī tumheñ
mashvara hogā ki behtar sī savārī dekhnā
dekhnā tum saiñkaḌoñ meñ ek do rah jā.eñge
aazmā kar dostoñ ko baarī baarī dekhnā
ujratī qātil kisī kā dost hotā hī nahīñ
le rakhī hogī tumhārī bhī supārī dekhnā
kuchh nahīñ pūñjī hamārī sirf 'izzat hī to hai
zindagī ham ne sharāfat meñ guzārī dekhnā
kal talak to raaj kartī thī baḌī hī shaan se
aaj gar nākām hai qismat kī maarī dekhnā
ruḳh pe bārish phuul par shabnam ke qatre jis tarah
us pe 'hasrat' zulf ne sūrat nikhārī dekhnā
apni niyat dekh lena phir hamari dekhna
ho tumhaari aankh se chashma na jari dekhna
tum ne apni aankh ki tasir halke mein to li
dhire dhire hoga koi kaif tari dekhna
KHauf aisa aap ne paida kiya tha zehn mein
bich raste se palaT aai bichaari dekhna
rah ki pechidgi bezar kar degi tumhein
mashwara hoga ki behtar si sawari dekhna
dekhna tum sainkaDon mein ek do rah jaenge
aazma kar doston ko bari bari dekhna
ujrati qatil kisi ka dost hota hi nahin
le rakhi hogi tumhaari bhi supari dekhna
kuchh nahin punji hamari sirf 'izzat hi to hai
zindagi hum ne sharafat mein guzari dekhna
kal talak to raj karti thi baDi hi shan se
aaj gar nakaam hai qismat ki mari dekhna
ruKH pe barish phul par shabnam ke qatre jis tarah
us pe 'hasrat' zulf ne surat nikhaari dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.