teri sansen mujh tak aate baadal ho jaen
terī sāñseñ mujh tak aate bādal ho jaa.eñ
mere jism ke saare ilāqe jal-thal ho jaa.eñ
hoñT-nadī sailāb kā mujh pe darvāza khole
ham ko mayassar aise bhī ik do pal ho jaa.eñ
dushman dhund hai kab se merī āñkhoñ ke darpai
hijr kī lambī kaalī rāteñ kājal ho jaa.eñ
umr kā lambā hissa kar ke dānā.ī ke naam
ham bhī ab ye soch rahe haiñ pāgal ho jaa.eñ
teri sansen mujh tak aate baadal ho jaen
mere jism ke sare ilaqe jal-thal ho jaen
honT-nadi sailab ka mujh pe darwaza khole
hum ko mayassar aise bhi ek do pal ho jaen
dushman dhund hai kab se meri aankhon ke darpai
hijr ki lambi kali raaten kajal ho jaen
umr ka lamba hissa kar ke danai ke nam
hum bhi ab ye soch rahe hain pagal ho jaen
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 468)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.