Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka

Ahmad Nadeem Qasmi

teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka

Ahmad Nadeem Qasmi

terī mahfil bhī mudāvā nahīñ tanhā.ī

kitnā charchā thā tirī anjuman-ārā.ī

dāġh-e-dil naqsh hai ik lāla-e-sahrā.ī

ye asāsa hai mirī bādiya-paimā.ī

jab bhī dekhā hai tujhe ālam-e-nau dekhā hai

marhala tai na huā terī shanāsā.ī

vo tire jism qauseñ hoñ ki mehrāb-e-haram

har haqīqat meñ milā ḳham tirī añgḌā.ī

ufuq-e-zehn pe chamkā tirā paimān-e-visāl

chāñd niklā hai mire ālam-e-tanhā.ī

bharī duniyā meñ faqat mujh se nigāheñ na churā

ishq par bas na chalegā tirī dānā.ī

har na.ī bazm tirī yaad māhaul banī

maiñ ne ye rañg bhī dekhā tirī yaktā.ī

naala aatā hai jo lab par to ġhazal bantā hai

mere fan par bhī hai partav tirī ra.anā.ī

teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka

kitna charcha tha teri anjuman-arai ka

dagh-e-dil naqsh hai ek lala-e-sahrai ka

ye asasa hai meri baadiya-paimai ka

jab bhi dekha hai tujhe aalam-e-nau dekha hai

marhala tai na hua teri shanasai ka

wo tere jism ki qausen hon ki mehrab-e-haram

har haqiqat mein mila KHam teri angDai ka

ufuq-e-zehn pe chamka tera paiman-e-visal

chand nikla hai mere aalam-e-tanhai ka

bhari duniya mein faqat mujh se nigahen na chura

ishq par bas na chalega teri danai ka

har nai bazm teri yaad ka mahaul bani

main ne ye rang bhi dekha teri yaktai ka

nala aata hai jo lab par to ghazal banta hai

mere fan par bhi hai partaw teri ranai ka

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ahmad Nadeem Qasmi

Ahmad Nadeem Qasmi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

teri mahfil bhi mudawa nahin tanhai ka Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now