Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri KHushbu ka pata karti hai

Parveen Shakir

teri KHushbu ka pata karti hai

Parveen Shakir

terī ḳhushbū patā kartī hai

mujh pe ehsān havā kartī hai

chuum kar phuul ko āhista se

mo.ajiza bād-e-sabā kartī hai

khol kar band-e-qabā gul ke havā

aaj ḳhushbū ko rihā kartī hai

abr barse to ināyat us

shāḳh to sirf duā kartī hai

zindagī phir se fazā meñ raushan

mish.al-e-barg-e-hinā kartī hai

ham ne dekhī hai vo ujlī saa.at

raat jab sher kahā kartī hai

shab tanhā.ī meñ ab to aksar

guftugū tujh se rahā kartī hai

dil ko us raah pe chalnā nahīñ

jo mujhe tujh se judā kartī hai

zindagī merī thī lekin ab to

tere kahne meñ rahā kartī hai

us ne dekhā nahīñ varna ye aañkh

dil ahvāl kahā kartī hai

mus.haf-e-dil pe ajab rañgoñ meñ

ek tasvīr banā kartī hai

be-niyāz-e-kaf-e-dariyā añgusht

ret par naam likhā kartī hai

dekh aan ke chehra merā

ik nazar bhī tirī kyā kartī hai

zindagī bhar ye tāḳhīr apnī

ranj milne sivā kartī hai

shaam paḌte kisī shaḳhs yaad

kūcha-e-jāñ meñ sadā kartī hai

mas.ala jab bhī charāġhoñ uThā

faisla sirf havā kartī hai

mujh se bhī us hai vaisā sulūk

haal jo terā anā kartī hai

dukh huā kartā hai kuchh aur bayāñ

baat kuchh aur huā kartī hai

teri KHushbu ka pata karti hai

mujh pe ehsan hawa karti hai

chum kar phul ko aahista se

moajiza baad-e-saba karti hai

khol kar band-e-qaba gul ke hawa

aaj KHushbu ko riha karti hai

abr barse to inayat us ki

shaKH to sirf dua karti hai

zindagi phir se faza mein raushan

mishal-e-barg-e-hina karti hai

hum ne dekhi hai wo ujli saat

raat jab sher kaha karti hai

shab ki tanhai mein ab to aksar

guftugu tujh se raha karti hai

dil ko us rah pe chalna hi nahin

jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thi lekin ab to

tere kahne mein raha karti hai

us ne dekha hi nahin warna ye aankh

dil ka ahwal kaha karti hai

mushaf-e-dil pe ajab rangon mein

ek taswir bana karti hai

be-niyaz-e-kaf-e-dariya angusht

ret par nam likha karti hai

dekh tu aan ke chehra mera

ek nazar bhi teri kya karti hai

zindagi bhar ki ye taKHir apni

ranj milne ka siwa karti hai

sham paDte hi kisi shaKHs ki yaad

kucha-e-jaan mein sada karti hai

masala jab bhi charaghon ka uTha

faisla sirf hawa karti hai

mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk

haal jo tera ana karti hai

dukh hua karta hai kuchh aur bayan

baat kuchh aur hua karti hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

RECITATIONS

Ameeta Parsuram Meeta

Ameeta Parsuram Meeta,

Ameeta Parsuram Meeta

terii KHushbuu kaa pataa kartii hai Ameeta Parsuram Meeta

Source :
  • Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(Inkaar) (Pg. 25)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now