Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne jab koi bhi darwaza khula paya hai

Kafeel Aazar Amrohvi

humne jab koi bhi darwaza khula paya hai

Kafeel Aazar Amrohvi

ham ne jab koī bhī darvāza khulā paayā hai

kitnī guzrī huī bātoñ ḳhayāl aayā hai

qāfila dard Thahregā kahāñ ham-safaro

koī manzil hai na bastī na kahīñ saayā hai

ek sahmā huā sunsān galī nukkaḌ

shahr bhiiḌ meñ aksar mujhe yaad aayā hai

yuuñ liye phirtā huuñ TuuTe hue ḳhvāboñ salīb

ab yahī jaise mirī ziist sarmāya hai

shahr meñ ek bhī āvāra nahīñ ab ke baras

mausam-e-lāla-o-gul kaisī ḳhabar laayā hai

un TuuTī huī dīvār saaya 'āzar'

dhuup meñ kyuuñ mire hamrāh chalā aayā hai

hum ne jab koi bhi darwaza khula paya hai

kitni guzri hui baaton ka KHayal aaya hai

qafila dard ka Thahrega kahan ham-safaro

koi manzil hai na basti na kahin saya hai

ek sahma hua sunsan gali ka nukkaD

shahr ki bhiD mein aksar mujhe yaad aaya hai

yun liye phirta hun TuTe hue KHwabon ki salib

ab yahi jaise meri zist ka sarmaya hai

shahr mein ek bhi aawara nahin ab ke baras

mausam-e-lala-o-gul kaisi KHabar laya hai

un ki TuTi hui diwar ka saya 'azar'

dhup mein kyun mere hamrah chala aaya hai

Source :
  • Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 25)
  • Author : Kafeel Aazar Amrohi
  • Publication : S. F. Printers Delhi (1993)
  • Edition : 1993

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now