Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj maine use nazdik se ja dekha hai

Kafeel Aazar Amrohvi

aaj maine use nazdik se ja dekha hai

Kafeel Aazar Amrohvi

aaj maiñ ne use nazdīk se dekhā hai

vo darīcha to mire qad se bahut ūñchā hai

apne kamre ko añdheroñ se bharā paayā hai

tere baare meñ kabhī ġhaur se jab sochā hai

har tamannā ko rivāyat tarah toḌā hai

tab kahīñ ke zamāna mujhe raas aayā hai

tum ko shikva hai mire ahd-e-mohabbat se magar

tum ne paanī pe koī lafz kabhī likkhā hai

aisā bichhḌā ki milā nahīñ phir us pata

haa.e vo shaḳhs jo aksar mujhe yaad aatā hai

koī us shaḳhs ko apnā nahīñ kahtā 'āzar'

apne ghar meñ bhī vo ġhairoñ tarah rahtā hai

aaj main ne use nazdik se ja dekha hai

wo daricha to mere qad se bahut uncha hai

apne kamre ko andheron se bhara paya hai

tere bare mein kabhi ghaur se jab socha hai

har tamanna ko riwayat ki tarah toDa hai

tab kahin ja ke zamana mujhe ras aaya hai

tum ko shikwa hai mere ahd-e-mohabbat se magar

tum ne pani pe koi lafz kabhi likkha hai

aisa bichhDa ki mila hi nahin phir us ka pata

hae wo shaKHs jo aksar mujhe yaad aata hai

koi us shaKHs ko apna nahin kahta 'azar'

apne ghar mein bhi wo ghairon ki tarah rahta hai

Source :
  • Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 134)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now