kiye jata hai nazara teri ranai ka
kiye jaatā hai nazāra tirī rā'nā.ī kā
kyā kalejā hai haqīqat meñ tamāshā.ī kā
rakh bharam hashr meñ yā rab dil-e-shaidā.ī kā
hashr to ik baḌā bāzār hai rusvā.ī kā
husn ne kar diyā qābīl ko andhā varna
ḳhuun kartā na kabhī apne sage bhaa.ī kā
asl meñ haath vo dushman kī taraf uTThe the
dekhne vāloñ ko dhoka huā añgḌā.ī kā
aage dīvāna gayā rah gaye daanā pīchhe
qissa-e-dār meñ nukta hai ye dānā.ī kā
ziist kī jang meñ ham haar to deñge lekin
koī imkān nahīñ hai kahīñ paspā.ī kā
kyā kareñge vo masīhā.ī marīz-e-ġham kī
tajraba hī nahīñ jab un ko masīhā.ī kā
shahr meñ kis liye aakar nahīñ rahtā majnūñ
dāḳhila band nahīñ hai kisī sahrā.ī kā
har jagah aur har ik zarre meñ jab haiñ maujūd
naam kyuuñ un ko gavārā nahīñ harjā.ī kā
vo nazar aa.e to dekheñge sañbhal kar us ko
ham haiñ muusā na koī zo'm hai bīnā.ī kā
na mayassar huā ab tak kisī lashkar ko 'adīl'
vo jo andāz hai mizhgāñ kī saf-ārā.ī kā
kiye jata hai nazara teri ra'nai ka
kya kaleja hai haqiqat mein tamashai ka
rakh bharam hashr mein ya rab dil-e-shaidai ka
hashr to ek baDa bazar hai ruswai ka
husn ne kar diya qabil ko andha warna
KHun karta na kabhi apne sage bhai ka
asl mein hath wo dushman ki taraf uTThe the
dekhne walon ko dhoka hua angDai ka
aage diwana gaya rah gaye dana pichhe
qissa-e-dar mein nukta hai ye danai ka
zist ki jang mein hum haar to denge lekin
koi imkan nahin hai kahin paspai ka
kya karenge wo masihai mariz-e-gham ki
tajraba hi nahin jab un ko masihai ka
shahr mein kis liye aakar nahin rahta majnun
daKHila band nahin hai kisi sahrai ka
har jagah aur har ek zarre mein jab hain maujud
nam kyun un ko gawara nahin harjai ka
wo nazar aae to dekhenge sanbhal kar us ko
hum hain musa na koi zo'm hai binai ka
na mayassar hua ab tak kisi lashkar ko 'adil'
wo jo andaz hai mizhgan ki saf-arai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.