Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha

Kafeel Aazar Amrohvi

tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha

Kafeel Aazar Amrohvi

tanhā.ī galī meñ havāoñ shor thā

āñkhoñ meñ so rahā thā añdherā thakā huā

siine meñ jaise tiir paivast ho gayā

thā kitnā dil-ḳharāsh udāsī qahqaha

yuuñ bhī huā ki shahr saḌkoñ pe bār-hā

har shaḳhs se maiñ apnā pata pūchhtā phirā

barsoñ se chal rahā hai koī mere saath saath

hai kaun shaḳhs us se maiñ ik baar pūchhtā

dil meñ utar ke bujh ga.ī yādoñ chāñdnī

āñkhoñ meñ intizār sūraj pighal gayā

chhoḌī hai un chaah to ab lag rahā hai yuuñ

jaise maiñ itne roz añdheroñ meñ qaid thā

maiñ ne zarā baat kahī thī mazāq meñ

tum ne zarā baat ko itnā baḌhā liyā

kamre meñ phailtā rahā cigarette dhuāñ

maiñ band khiḌkiyoñ taraf dekhtā rahā

'āzar' ye kis samt baḌhe rahe haiñ log

is shahr meñ to mere sivā koī bhī na thā

tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha

aankhon mein so raha tha andhera thaka hua

sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya

tha kitna dil-KHarash udasi ka qahqaha

yun bhi hua ki shahr ki saDkon pe bar-ha

har shaKHs se main apna pata puchhta phira

barson se chal raha hai koi mere sath sath

hai kaun shaKHs us se main ek bar puchhta

dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni

aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya

chhoDi hai un ki chah to ab lag raha hai yun

jaise main itne roz andheron mein qaid tha

main ne zara si baat kahi thi mazaq mein

tum ne zara si baat ko itna baDha liya

kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan

main band khiDkiyon ki taraf dekhta raha

'azar' ye kis ki samt baDhe ja rahe hain log

is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now