Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main hun raat ka ek baja hai

Nasir Kazmi

main hun raat ka ek baja hai

Nasir Kazmi

maiñ huuñ raat ek bajā hai

ḳhālī rasta bol rahā hai

aaj to yuuñ ḳhāmosh hai duniyā

jaise kuchh hone vaalā hai

kaisī añdherī raat hai dekho

apne aap se Dar lagtā hai

aaj to shahr ravish ravish par

pattoñ mela lagā hai

aao ghaas pe sabhā jamā.eñ

mai-ḳhāna to band paḌā hai

phuul to saare jhaḌ ga.e lekin

terī yaad zaḳhm harā hai

ne jitnā pyaar kiyā thā

dukh bhī mujhe utnā diyā hai

ye bhī hai ek tarah mohabbat

maiñ tujh se mujh se judā hai

ye tirī manzil vo mirā rasta

terā merā saath kyā hai

maiñ ne to ik baat kahī thī

kyā sach-much ruuTh gayā hai

aisā gāhak kaun hai jis ne

sukh de kar dukh mol liyā hai

terā rasta takte takte

khet gagan suukh chalā hai

khiḌkī khol ke dekh to bāhar

der se koī shaḳhs khaḌā hai

saarī bastī so ga.ī 'nāsir'

ab tak kyuuñ jaag rahā hai

main hun raat ka ek baja hai

KHali rasta bol raha hai

aaj to yun KHamosh hai duniya

jaise kuchh hone wala hai

kaisi andheri raat hai dekho

apne aap se Dar lagta hai

aaj to shahr ki rawish rawish par

patton ka mela sa laga hai

aao ghas pe sabha jamaen

mai-KHana to band paDa hai

phul to sare jhaD gae lekin

teri yaad ka zaKHm hara hai

tu ne jitna pyar kiya tha

dukh bhi mujhe utna hi diya hai

ye bhi hai ek tarah ki mohabbat

main tujh se tu mujh se juda hai

ye teri manzil wo mera rasta

tera mera sath hi kya hai

main ne to ek baat kahi thi

kya tu sach-much ruTh gaya hai

aisa gahak kaun hai jis ne

sukh de kar dukh mol liya hai

tera rasta takte takte

khet gagan ka sukh chala hai

khiDki khol ke dekh to bahar

der se koi shaKHs khaDa hai

sari basti so gai 'nasir'

tu ab tak kyun jag raha hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

main hun raat ka ek baja hai Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now