mahaul dard-o-gham ka hai manzar dhuan dhuan
māhaul dard-o-ġham kā hai manzar dhuāñ dhuāñ
jazbāt ho gaye haiñ bikhar kar dhuāñ dhuāñ
bhaḌkī huī diloñ meñ hai kyuuñ nafratoñ kī aag
kyuuñ ho rahe haiñ sab yahāñ jal kar dhuāñ dhuāñ
mehr-o-vafā ḳhulūs mohabbat kaheñ jise
insān kā huā hai vo rahbar dhuāñ dhuāñ
tere baġhair ham ne guzārī hai jab bhī shaam
chhāyā rahā hamārī nazar par dhuāñ dhuāñ
kaise kaheñ ki ḳhush haiñ judā ho ke tum se ham
manzar to dil ke rahte haiñ aksar dhuāñ dhuāñ
'farhān' jab kabhī bhī lagī jangaloñ meñ aag
phailā rahā nadī ke bhī uupar dhuāñ dhuāñ
mahaul dard-o-gham ka hai manzar dhuan dhuan
jazbaat ho gaye hain bikhar kar dhuan dhuan
bhaDki hui dilon mein hai kyun nafraton ki aag
kyun ho rahe hain sab yahan jal kar dhuan dhuan
mehr-o-wafa KHulus mohabbat kahen jise
insan ka hua hai wo rahbar dhuan dhuan
tere baghair hum ne guzari hai jab bhi sham
chhaya raha hamari nazar par dhuan dhuan
kaise kahen ki KHush hain juda ho ke tum se hum
manzar to dil ke rahte hain aksar dhuan dhuan
'farhan' jab kabhi bhi lagi jangalon mein aag
phaila raha nadi ke bhi upar dhuan dhuan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.