jab bhi KHwabon ka safar yaad aaya
jab bhī ḳhvāboñ kā safar yaad aayā
dil kā ek ek khañDar yaad aayā
jab bhī yaad aayā koī ġhuncha-dahan
mujh ko ḳhushbū kā safar yaad aayā
jab bhī dekhā hai ḳharāba koī
ek apnā bhī thā ghar yaad aayā
yuuñ bhī hogā na pareshān koī
dil ko thāmā to jigar yaad aayā
jo diyā maiñ ne bujhā Daalā hai
jal marūñgā vo agar yaad aayā
daur-e-vahshat bhī yūñhī biit gayā
haath yaad aa.e na sar yaad aayā
jurm ye hai ki re'āyā huuñ maiñ
kyuuñ huā shahr-badar yaad aayā
dasht meñ dekh ke qadmoñ ke nishāñ
maiñ hī aayā thā idhar yaad aayā
phir vahī maiñ huuñ vahī shām-o-sahar
ghar se ghar tak kā safar yaad aayā
intiqāman mujhe yaad aa jaanā
maiñ kabhī tujh ko agar yaad aayā
jab bhi KHwabon ka safar yaad aaya
dil ka ek ek khanDar yaad aaya
jab bhi yaad aaya koi ghuncha-dahan
mujh ko KHushbu ka safar yaad aaya
jab bhi dekha hai KHaraba koi
ek apna bhi tha ghar yaad aaya
yun bhi hoga na pareshan koi
dil ko thama to jigar yaad aaya
jo diya main ne bujha Dala hai
jal marunga wo agar yaad aaya
daur-e-wahshat bhi yunhi bit gaya
hath yaad aae na sar yaad aaya
jurm ye hai ki re'aya hun main
kyun hua shahr-badar yaad aaya
dasht mein dekh ke qadmon ke nishan
main hi aaya tha idhar yaad aaya
phir wahi main hun wahi sham-o-sahar
ghar se ghar tak ka safar yaad aaya
intiqaman mujhe yaad aa jaana
main kabhi tujh ko agar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.