Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko

Shakeb Jalali

gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko

Shakeb Jalali

gūñjtā hai nāla-e-mahtāb aadhī raat ko

TuuT jaate haiñ suhāne ḳhvāb aadhī raat ko

bhāgte sāyoñ chīḳheñ TūTte tāroñ shor

maiñ huuñ aur ik mahshar-e-be-ḳhvāb aadhī raat ko

shaam se bazm-e-anjum nashsha-e-ġhaflat meñ thī

chāñd ne bhī liyā zahrāb aadhī raat ko

ik shikasta ḳhvāb kaḌiyāñ milāne aa.e haiñ

der se bichhḌe hue ahbāb aadhī raat ko

daulat-e-ehsās-e-ġham itnī arzānī huī

niiñd shai ho ga.ī nāyāb aadhī raat ko

gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko

TuT jate hain suhane KHwab aadhi raat ko

bhagte sayon ki chiKHen TuTte taron ka shor

main hun aur ek mahshar-e-be-KHwab aadhi raat ko

sham hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghaflat mein thi

chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko

ek shikasta KHwab ki kaDiyan milane aae hain

der se bichhDe hue ahbab aadhi raat ko

daulat-e-ehsas-e-gham ki itni arzani hui

nind si shai ho gai nayab aadhi raat ko

Source :
  • Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 422)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now