Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya luTi to dur se takta hi rah gaya

Ibrahim Ashk

duniya luTi to dur se takta hi rah gaya

Ibrahim Ashk

duniyā luTī to duur se taktā rah gayā

āñkhoñ meñ ghar ke ḳhvāb naqsha rah gayā

us ke badan loch thā dariyā mauj meñ

sāhil se maiñ bahāv ko taktā rah gayā

duniyā bahut qarīb se uTh kar chalī ga.ī

baiThā maiñ apne ghar meñ akelā rah gayā

vo apnā aks bhuul ke jaane lagā to maiñ

āvāz de ke us ko bulātā rah gayā

hamrāh us ke saarī bahāreñ chalī ga.iiñ

merī zabāñ pe phuul charchā rah gayā

kuchh is adā se aa ke milā ham se 'ashk' vo

āñkhoñ meñ jazb ho ke sarāpā rah gayā

duniya luTi to dur se takta hi rah gaya

aankhon mein ghar ke KHwab ka naqsha hi rah gaya

us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein

sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya

duniya bahut qarib se uTh kar chali gai

baiTha main apne ghar mein akela hi rah gaya

wo apna aks bhul ke jaane laga to main

aawaz de ke us ko bulata hi rah gaya

hamrah us ke sari bahaaren chali gain

meri zaban pe phul ka charcha hi rah gaya

kuchh is ada se aa ke mila hum se 'ashk' wo

aankhon mein jazb ho ke sarapa hi rah gaya

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now