Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zaKHm

Mohsin Naqvi

aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zaKHm

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    aap aañkh se gahrā hai mirī ruuh zaḳhm

    aap kyā soch sakeñge mirī tanhā.ī ko

    maiñ to dam toḌ rahā thā magar afsurda hayāt

    ḳhud chalī aa.ī mirī hausla-afzā.ī ko

    lazzat-e-ġham ke sivā terī nigāhoñ ke baġhair

    kaun samjhā hai mire zaḳhm gahrā.ī ko

    maiñ baḌhā.uñgā tirī shohrat-e-ḳhush-bū nikhār

    duā de mire afsāna-e-rusvā.ī ko

    vo to yuuñ kahiye ki ik qaus-e-quzah phail ga.ī

    varna maiñ bhuul gayā thā tirī añgḌā.ī ko

    aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zaKHm

    aap kya soch sakenge meri tanhai ko

    main to dam toD raha tha magar afsurda hayat

    KHud chali aai meri hausla-afzai ko

    lazzat-e-gham ke siwa teri nigahon ke baghair

    kaun samjha hai mere zaKHm ki gahrai ko

    main baDhaunga teri shohrat-e-KHush-bu ka nikhaar

    tu dua de mere afsana-e-ruswai ko

    wo to yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gai

    warna main bhul gaya tha teri angDai ko

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Javed Naseem

    Mohsin Naqvi 1 Javed Naseem

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now