Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

Naseem Shahjahanpuri

tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

Naseem Shahjahanpuri

tanhā.ī ke lamhāt ehsās huā hai

jab tāroñ bharī raat ehsās huā hai

kuchh ḳhud bhī huuñ maiñ ishq meñ afsurda o ġhamgīñ

kuchh talḳhi-e-hālāt ehsās huā hai

kyā dekhiye un tīra-nasīboñ ho anjām

din meñ bhī jinheñ raat ehsās huā hai

vo zulm bhī ab zulm had tak nahīñ karte

āḳhir unheñ kis baat ehsās huā hai

bāzī-gah-e-ālam meñ to ik khel hai jiinā

is khel meñ kab maat ehsās huā hai

ruḳh par tire bikhrī huī zulfoñ ye aalam

din to kabhī raat ehsās huā hai

kuchh ḳhud bhī vo nādim haiñ 'nasīm' apnī jafā par

kuchh merī shikāyāt ehsās huā hai

tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

jab taron bhari raat ka ehsas hua hai

kuchh KHud bhi hun main ishq mein afsurda o ghamgin

kuchh talKHi-e-haalat ka ehsas hua hai

kya dekhiye un tira-nasibon ka ho anjam

din mein bhi jinhen raat ka ehsas hua hai

wo zulm bhi ab zulm ki had tak nahin karte

aaKHir unhen kis baat ka ehsas hua hai

bazi-gah-e-alam mein to ek khel hai jina

is khel mein kab mat ka ehsas hua hai

ruKH par tere bikhri hui zulfon ka ye aalam

din ka to kabhi raat ka ehsas hua hai

kuchh KHud bhi wo nadim hain 'nasim' apni jafa par

kuchh meri shikayat ka ehsas hua hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now