dil ke har dagh ko ghuncha kahiye
dil ke har daaġh ko ġhuncha kahiye
jaisā vo kahte haiñ vaisā kahiye
jazb-e-dil ke koī mā'nī na rahe
kis se 'ijz-e-lab-e-goyā kahiye
koī āvāz bhī āvāz nahīñ
dil ko ab dil kī tamannā kahiye
itnā ābād ki ham shor meñ gum
itnā sunsān ki sahrā kahiye
hai haqīqat kī haqīqat duniyā
aur tamāshe kā tamāshā kahiye
log chaltī huī tasvīreñ haiñ
shahr ko shahr kā naqsha kahiye
ḳhūn-e-dil hāsil-e-nazzārā hai
nigah-e-shauq ko parda kahiye
shāḳh jab koī chaman meñ TuuTe
use andāz sabā kā kahiye
dīda-var kaun hai aisā 'bāqī'
chashm-e-nargis ko bhī biinā kahiye
dil ke har dagh ko ghuncha kahiye
jaisa wo kahte hain waisa kahiye
jazb-e-dil ke koi ma'ni na rahe
kis se 'ijz-e-lab-e-goya kahiye
koi aawaz bhi aawaz nahin
dil ko ab dil ki tamanna kahiye
itna aabaad ki hum shor mein gum
itna sunsan ki sahra kahiye
hai haqiqat ki haqiqat duniya
aur tamashe ka tamasha kahiye
log chalti hui taswiren hain
shahr ko shahr ka naqsha kahiye
KHun-e-dil hasil-e-nazzara hai
nigah-e-shauq ko parda kahiye
shaKH jab koi chaman mein TuTe
use andaz saba ka kahiye
dida-war kaun hai aisa 'baqi'
chashm-e-nargis ko bhi bina kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.