ye jiwan hai soch samajh kar jiwan-sathi chuniyega
ye jīvan hai soch samajh kar jīvan-sāthī chuniyegā
chuuk huī to marte dam tak kuḌhiyegā sar dhuniyegā
ek zarā sī kotāhī se bhārī tabāhī aa.egī
'ishq balā hai gahrī nazar se tāne-bāne buniyegā
she'r-o-suḳhan meñ apnī alag pahchān banānā behtar hai
varna hamesha buġhz-o-hasad kī aag maiñ jaliye bhuniyegā
dasht-e-suḳhan meñ andesha hai nau-vārid ke bhaTakne kā
pahle kisī ustād kī nigrānī meñ paḌhiye guniyegā
yaar munāfiq ho jaa.eñ to qat'-e-ta'alluq lāzim hai
varna lakḌī kī mānind andar hī andar ghuniyegā
ham na rahe to bazm-e-suḳhan kī raunaq bhī chhin jā.egī
'mīr' ke is andāz kī ġhazleñ phir na kisī se suniyegā
ek 'sahar' hī kyā hai saarī duniyā aap pe martī hai
kuchh to kahiye kis kis ko dīvār-e-‘ishq meñ chuniyegā
ye jiwan hai soch samajh kar jiwan-sathi chuniyega
chuk hui to marte dam tak kuDhiyega sar dhuniyega
ek zara si kotahi se bhaari tabahi aaegi
'ishq bala hai gahri nazar se tane-bane buniyega
she'r-o-suKHan mein apni alag pahchan banana behtar hai
warna hamesha bughz-o-hasad ki aag main jaliye bhuniyega
dasht-e-suKHan mein andesha hai nau-warid ke bhaTakne ka
pahle kisi ustad ki nigrani mein paDhiye guniyega
yar munafiq ho jaen to qat'-e-ta'alluq lazim hai
warna lakDi ki manind andar hi andar ghuniyega
hum na rahe to bazm-e-suKHan ki raunaq bhi chhin jaegi
'mir' ke is andaz ki ghazlen phir na kisi se suniyega
ek 'sahar' hi kya hai sari duniya aap pe marti hai
kuchh to kahiye kis kis ko diwar-e-‘ishq mein chuniyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.