ab bhi hamare dil ko wafa ka guman hai
ab bhī hamāre dil ko vafā kā gumān hai
ham to za'īf ho ga.e par dil javān hai
maiñ āsmān naap chukā huuñ hazār-bār
tum sochte ho ye mirī pahlī uḌaan hai
kis be-niyāz ne tumheñ chūmā hai sach kaho
is gaal par tumhāre ye kaisā nishān hai
ham dost yaar shaam ko milte the yaad hai
kyā ab bhī gaañv meñ vo purānī dukān hai
maañ ke baġhair kitnī adhūrī hai zindagī
be-kār ghar girahsthī hai ḳhālī makān hai
vo sāmne bhī aa.e to mat dekhnā 'ġhafīr'
bas zabt-e-ārzū kā yahī imtihān hai
ab bhi hamare dil ko wafa ka guman hai
hum to za'if ho gae par dil jawan hai
main aasman nap chuka hun hazar-bar
tum sochte ho ye meri pahli uDan hai
kis be-niyaz ne tumhein chuma hai sach kaho
is gal par tumhaare ye kaisa nishan hai
hum dost yar sham ko milte the yaad hai
kya ab bhi ganw mein wo purani dukan hai
man ke baghair kitni adhuri hai zindagi
be-kar ghar girahsthi hai KHali makan hai
wo samne bhi aae to mat dekhna 'ghafir'
bas zabt-e-arzu ka yahi imtihan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.