ab apne haal-e-dil pe na kyun aab-dida hun
ab apne hāl-e-dil pe na kyuuñ āb-dīda huuñ
duniyā bhī māntī hai ki āfat-rasīda huuñ
hairat hī is meñ kyā hai agar sar-kashīda huuñ
āḳhir ġhurūr-e-zīst kā maiñ āfrīda huuñ
dāman-darīda huuñ na garebāñ-darīda huuñ
vahshat to ye hai maiñ suḳhan-e-nā-shunīda huuñ
merī jabīñ pe sabt haiñ duniyā kī kulfateñ
maiñ sharh-e-rozgār kā vāhid jarīda huuñ
ye pūchhnā hai aaj zarūrat ke jabr se
kis kis kā aur dahr meñ minnat-kashīda huuñ
uThtī hai hook dil meñ ki phūloñ meñ jā basūñ
shāyad kisī hasīñ kā ḳhayāl-e-ramīda huuñ
ai āb-o-rang-e-bāġh mujhe ajnabī na jaan
maiñ sābiqa bahār kī bū-e-parīda huuñ
ai ābrū-e-zīst na mujh se gurez kar
lauh-e-jahāñ pe zulmat-e-ġham kā qasīda huuñ
tujh ko bhī kyā kisī se 'aqīdat rahī kabhī
ai shaḳhs maiñ to sirf 'aqīdat-gazīda huuñ
auroñ ke ġham meñ khaa.ī haiñ dar dar kī Thokareñ
ai ziist ehtirām ki maiñ barguzīda huuñ
maiñ bhī fareb-e-dahr se 'nūrī' na bach sakā
hālāñki sard-o-garm-e-zamāna-chashīda huuñ
ab apne haal-e-dil pe na kyun aab-dida hun
duniya bhi manti hai ki aafat-rasida hun
hairat hi is mein kya hai agar sar-kashida hun
aaKHir ghurur-e-zist ka main aafrida hun
daman-darida hun na gareban-darida hun
wahshat to ye hai main suKHan-e-na-shunida hun
meri jabin pe sabt hain duniya ki kulfaten
main sharh-e-rozgar ka wahid jarida hun
ye puchhna hai aaj zarurat ke jabr se
kis kis ka aur dahr mein minnat-kashida hun
uThti hai hook dil mein ki phulon mein ja basun
shayad kisi hasin ka KHayal-e-ramida hun
ai aab-o-rang-e-bagh mujhe ajnabi na jaan
main sabiqa bahaar ki bu-e-parida hun
ai aabru-e-zist na mujh se gurez kar
lauh-e-jahan pe zulmat-e-gham ka qasida hun
tujh ko bhi kya kisi se 'aqidat rahi kabhi
ai shaKHs main to sirf 'aqidat-gazida hun
auron ke gham mein khai hain dar dar ki Thokaren
ai zist ehtiram ki main barguzida hun
main bhi fareb-e-dahr se 'nuri' na bach saka
haalanki sard-o-garm-e-zamana-chashida hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.