dilon ko toDne walo tumhein kisi se kya
diloñ ko toḌne vaalo tumheñ kisī se kyā
milo to aañkh churā lo tumheñ kisī se kyā
hamārī laġhzish-e-pā kā ḳhayāl kyuuñ hai tumheñ
tum apnī chaal sambhālo tumheñ kisī se kyā
chamak ke aur baḌhāo mirī siyah-baḳhtī
kisī ke ghar ke ujālo tumheñ kisī se kyā
nazar bachā ke guzar jaao merī turbat se
kisī pe ḳhaak na Daalo tumheñ kisī se kyā
mujhe ḳhud apnī nazar meñ banā ke begāna
jahāñ ko apnā banā lo tumheñ kisī se kyā
qarīb-e-naza.a bhī kyuuñ chain le sake koī
naqāb ruḳh se uThā lo tumheñ kisī se kyā
dilon ko toDne walo tumhein kisi se kya
milo to aankh chura lo tumhein kisi se kya
hamari laghzish-e-pa ka KHayal kyun hai tumhein
tum apni chaal sambhaalo tumhein kisi se kya
chamak ke aur baDhao meri siyah-baKHti
kisi ke ghar ke ujalo tumhein kisi se kya
nazar bacha ke guzar jao meri turbat se
kisi pe KHak na Dalo tumhein kisi se kya
mujhe KHud apni nazar mein bana ke begana
jahan ko apna bana lo tumhein kisi se kya
qarib-e-naza bhi kyun chain le sake koi
naqab ruKH se uTha lo tumhein kisi se kya
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 120)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.