Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taza hai uski mahak raat ki rani ki tarah

Zeb Ghauri

taza hai uski mahak raat ki rani ki tarah

Zeb Ghauri

taaza hai us mahak raat raanī tarah

kisī bichhḌe hue lamhe nishānī tarah

jitnā dekho use thaktī nahīñ āñkheñ varna

ḳhatm ho jaatā hai har husn kahānī tarah

reg-e-sahrā ajab rañg havāoñ ne kiyā

naqsh khiñch gayā dariyā ravānī tarah

yuuñ guzartā hai vo katrā ke navāh-e-dil se

jaise ye ḳhaak ḳhitta bhī ho paanī tarah

mujh se kyā kuchh na sabā kah ke ga.ī hai ai 'zeb'

chand lafzoñ meñ paiġhām-e-zabānī tarah

taza hai us ki mahak raat ki rani ki tarah

kisi bichhDe hue lamhe ki nishani ki tarah

jitna dekho use thakti nahin aankhen warna

KHatm ho jata hai har husn kahani ki tarah

reg-e-sahra ka ajab rang hawaon ne kiya

naqsh sa khinch gaya dariya ki rawani ki tarah

yun guzarta hai wo katra ke nawah-e-dil se

jaise ye KHak ka KHitta bhi ho pani ki tarah

mujh se kya kuchh na saba kah ke gai hai ai 'zeb'

chand hi lafzon mein paigham-e-zabani ki tarah

RECITATIONS

Javed Naseem

Javed Naseem,

00:00/00:00
Javed Naseem

taaza hai us kii mahak raat kii raanii kii tarah Javed Naseem

Source :
  • Book : zartaab (Pg. 214)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now