Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sune siyah shahr pe manzar-pazir main

Farhat Ehsas

sune siyah shahr pe manzar-pazir main

Farhat Ehsas

suune siyāh shahr pe manzar-pazīr maiñ

āñkheñ qalīl hotī huī aur kasīr maiñ

masjid sīḌhiyoñ pe gadāgar ḳhudā naam

masjid ke bām-o-dar pe amiir o kabīr maiñ

dar-asl is jahāñ ko zarūrat nahīñ mirī

har-chand is jahāñ ke liye nā-guzīr maiñ

maiñ bhī yahāñ huuñ is shahādat meñ kis ko lā.ūñ

mushkil ye hai ki aap huuñ apnī nazīr maiñ

mujh tak hai mere dukh ke tasavvuf silsila

ik zaḳhm maiñ murīd to ik zaḳhm piir maiñ

har zaḳhm qāfile guzargāh merā dil

rū-e-zamīñ pe ek lahū lakīr maiñ

sune siyah shahr pe manzar-pazir main

aankhen qalil hoti hui aur kasir main

masjid ki siDhiyon pe gadagar KHuda ka nam

masjid ke baam-o-dar pe amir o kabir main

dar-asl is jahan ko zarurat nahin meri

har-chand is jahan ke liye na-guzir main

main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun

mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main

mujh tak hai mere dukh ke tasawwuf ka silsila

ek zaKHm main murid to ek zaKHm pir main

har zaKHm qafile ki guzargah mera dil

ru-e-zamin pe ek lahu ki lakir main

RECITATIONS

Farhat Ehsas

Farhat Ehsas,

00:00/00:00
Farhat Ehsas

sune siyah shahr pe manzar-pazir main Farhat Ehsas

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now