suno ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae
suno ab ham mohabbat meñ bahut aage nikal aa.e
ki ik raste pe chalte chalte sau raste nikal aa.e
agarche kam na thii, chārā-garān-e-shahr kī pursish
magar! kuchh zaḳhm-e-nā-dīda bahut gahre nikal aa.e
mohabbat kī to koī had, koī sarhad nahīñ hotī
hamāre darmiyāñ ye fāsle, kaise nikal aa.e
bahut din tak hisār-e-nashsha yaktā.ī meñ rakkhā
phir is chehre ke andar bhī ka.ī chehre nikal aa.e
purāne zaḳhm bharte hii, na.e zaḳhmoñ ke shaidā.ī
mizāj-e-ā.ina oḌhe hue ghar se nikal aa.e
tazād-e-zāt ke baa.is khulā vo kam-suḳhan aisā
adhūrī baat ke mafhūm bhī puure nikal aa.e
suno ab hum mohabbat mein bahut aage nikal aae
ki ek raste pe chalte chalte sau raste nikal aae
agarche kam na thi, chaara-garan-e-shahr ki pursish
magar! kuchh zaKHm-e-na-dida bahut gahre nikal aae
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aae
bahut din tak hisar-e-nashsha yaktai mein rakkha
phir is chehre ke andar bhi kai chehre nikal aae
purane zaKHm bharte hi, nae zaKHmon ke shaidai
mizaj-e-aina oDhe hue ghar se nikal aae
tazad-e-zat ke bais khula wo kam-suKHan aisa
adhuri baat ke mafhum bhi pure nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.