sukut-e-arz-o-sama mein KHub intishaar dekhun
sukūt-e-arz-o-samā meñ ḳhuub intishār dekhūñ
ḳhalā meñ apnī sadā kā phailā ġhubār dekhūñ
ajab nahīñ hai ki aa hī jaa.e vo ḳhush-samā.at
dayār-e-dil se maiñ kyuuñ na us ko pukār dekhūñ
khaḌī hai dīvār āñsuoñ kī mire barābar
to kis tarah maiñ tirī tamannā ke paar dekhūñ
bikhartā jaatā huuñ jaise tasbīh ke hoñ daane
jab us ke aañsū qatār-andar-qatār dekhūñ
vo merā isbāt chāhtā hai so jabr ye hai
maiñ apne hone meñ us ko be-iḳhtiyār dekhūñ
jo ek dam meñ tamām rūhoñ ko ḳhaak kar de
badan se uḌtā huā ik aisā sharār dekhūñ
bahut dinoñ se vahāñ maiñ apnā hī muntazir huuñ
to ḳhud ko ik din tirī galī se guzār dekhūñ
sukut-e-arz-o-sama mein KHub intishaar dekhun
KHala mein apni sada ka phaila ghubar dekhun
ajab nahin hai ki aa hi jae wo KHush-samaat
dayar-e-dil se main kyun na us ko pukar dekhun
khaDi hai diwar aansuon ki mere barabar
to kis tarah main teri tamanna ke par dekhun
bikharta jata hun jaise tasbih ke hon dane
jab us ke aansu qatar-andar-qatar dekhun
wo mera isbaat chahta hai so jabr ye hai
main apne hone mein us ko be-iKHtiyar dekhun
jo ek dam mein tamam ruhon ko KHak kar de
badan se uDta hua ek aisa sharar dekhun
bahut dinon se wahan main apna hi muntazir hun
to KHud ko ek din teri gali se guzar dekhun
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 66)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 64)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.