aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHan mein rang tumhaare KHayal hi ke to hain

Irfan Siddiqi

suKHan mein rang tumhaare KHayal hi ke to hain

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    suḳhan meñ rañg tumhāre ḳhayāl ke to haiñ

    ye sab karishme havā-e-visāl ke to haiñ

    kahā thā tum ne ki laatā hai kaun ishq taab

    so ham javāb tumhāre savāl ke to haiñ

    zarā baat hai dil meñ agar bayāñ ho jaa.e

    tamām mas.ale iz.hār-e-hāl ke to haiñ

    yahāñ bhī us ke sivā aur kyā nasīb hameñ

    ḳhutan meñ rah ke bhī chashm-e-ġhazāl ke to haiñ

    jasārat-e-suḳhan-e-shā.irāñ se Darnā kiyā

    ġharīb mashġhala-e-qīl-o-qāl ke to haiñ

    havā zad pe hamārā safar hai kitnī der

    charāġh ham kisī shām-e-zavāl ke to haiñ

    suKHan mein rang tumhaare KHayal hi ke to hain

    ye sab karishme hawa-e-visal hi ke to hain

    kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab

    so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain

    zara si baat hai dil mein agar bayan ho jae

    tamam masale izhaar-e-haal hi ke to hain

    yahan bhi us ke siwa aur kya nasib hamein

    KHutan mein rah ke bhi chashm-e-ghazal hi ke to hain

    jasarat-e-suKHan-e-shairan se Darna kiya

    gharib mashghala-e-qil-o-qal hi ke to hain

    hawa ki zad pe hamara safar hai kitni der

    charagh hum kisi sham-e-zawal hi ke to hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now