kitna hai gahra waqt ka dhaara kaha na jae
kitnā hai gahrā vaqt kā dhārā kahā na jaa.e
kis ko hai ehtiyāt kā yaarā kahā na jaa.e
kal raat āsmān se TuuTā to thā magar
kis ke nasīb kā thā sitārā kahā na jaa.e
sab kī nazar uThī hai udhar dekhte haiñ sab
kis kī taraf hai us kā ishārā kahā na jaa.e
is tarh se dabī huī yādoñ ko mat kured
ban jaa.e kab ye raakh sharārā kahā na jaa.e
guzrā hai kaisī kaisī aziyyat se sub.h tak
kal raat e'tibār kā maarā kahā na jaa.e
jis kā ḳhayāl TūTte lamhoñ kā hai rafīq
'aiman' kabhī vo hogā hamārā kahā na jaa.e
kitna hai gahra waqt ka dhaara kaha na jae
kis ko hai ehtiyat ka yara kaha na jae
kal raat aasman se TuTa to tha magar
kis ke nasib ka tha sitara kaha na jae
sab ki nazar uThi hai udhar dekhte hain sab
kis ki taraf hai us ka ishaara kaha na jae
is tarh se dabi hui yaadon ko mat kured
ban jae kab ye rakh sharara kaha na jae
guzra hai kaisi kaisi aziyyat se subh tak
kal raat e'tibar ka mara kaha na jae
jis ka KHayal TuTte lamhon ka hai rafiq
'aiman' kabhi wo hoga hamara kaha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.