Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai

Aslam Gurdaspuri

sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai

Aslam Gurdaspuri

sabhī yahāñ haiñ darīda-dāman sabhī ab haal ek hai

ab aisī sūrat meñ kis se pūchheñ ye kyā banā hai ye kyā huā hai

kuchh is tarah se kabhī huā thā sukūt-e-dār-o-rasan aalam

na koī dīvāna sar-ba-kaf hai na koī vahshī DaTā huā hai

maraz ye kyā hai ki jis ke Dar se tamām duniyā laraz rahī hai

ye kyā vabā hai ki jis ke aage har ek sar jhukā huā hai

vo āsmānoñ pe jaane vaale vo chāñd se miTTī laane vaale

na jaane ab vo kahāñ ga.e haiñ har ek ghar meñ chhupā huā hai

vo sab missile ye saare atom bas ik corona maar nikle

ab aise aalam meñ dekh leñ sab ki chiin kaise DaTā huā hai

ye vā.izoñ ke tamām ḳhutbe hamārī mushkil hal nahīñ haiñ

ab is ko ḳhud ham hal kareñge ye mas.ala jo banā huā hai

na koī bhī ham pe pahra-zan hai ki ham kahīñ aa.eñ aur na jaa.eñ

har ek insān apne ghar meñ ḳhud apnā qaidī banā huā hai

koī baḌā ho ki ho chhoTā koī gadā ho ki bādshah ho

is ibtilā kamāl ye hai ki sab ko yaksāñ kiyā huā hai

sivā.e ḳhāmosh chāñd tāroñ ke in ḳhalāoñ meñ kuchh nahīñ hai

ye zindagī raunaqeñ haiñ ki jin se mela sajā huā hai

ye kyā ġhazab hai ki muddatoñ se ḳhizāñ gulshan meñ ḳhema-zan hai

jo mausam-e-gul kārvāñ thā vo kārvāñ kyoñ rukā huā hai

hamārā zauq-e-suḳhan hai jaarī ise kisī shai Dar nahīñ hai

na husn ham se alag huā hai na ishq ham se judā huā hai

ḳhudā to un se ḳhafā hai 'aslam' jo us ke qānūn toḌte haiñ

vagarna ham aise be-basoñ se ḳhudā bhalā kab ḳhafā huā hai

sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai

ab aisi surat mein kis se puchhen ye kya bana hai ye kya hua hai

kuchh is tarah se kabhi hua tha sukut-e-dar-o-rasan ka aalam

na koi diwana sar-ba-kaf hai na koi wahshi DaTa hua hai

maraz ye kya hai ki jis ke Dar se tamam duniya laraz rahi hai

ye kya waba hai ki jis ke aage har ek ka sar jhuka hua hai

wo aasmanon pe jaane wale wo chand se miTTi lane wale

na jaane ab wo kahan gae hain har ek ghar mein chhupa hua hai

wo sab missile ye sare atom bas ek corona ki mar nikle

ab aise aalam mein dekh len sab ki chin kaise DaTa hua hai

ye waizon ke tamam KHutbe hamari mushkil ka hal nahin hain

ab is ko KHud hum hi hal karenge ye masala jo bana hua hai

na koi bhi hum pe pahra-zan hai ki hum kahin aaen aur na jaen

har ek insan apne ghar mein KHud apna qaidi bana hua hai

koi baDa ho ki ya ho chhoTa koi gada ho ki baadshah ho

is ibtila ka kamal ye hai ki sab ko yaksan kiya hua hai

siwae KHamosh chand taron ke in KHalaon mein kuchh nahin hai

ye zindagi ki hi raunaqen hain ki jin se mela saja hua hai

ye kya ghazab hai ki muddaton se KHizan hi gulshan mein KHema-zan hai

jo mausam-e-gul ka karwan tha wo karwan kyon ruka hua hai

hamara zauq-e-suKHan hai jari ise kisi shai ka Dar nahin hai

na husn hum se alag hua hai na ishq hum se juda hua hai

KHuda to un se KHafa hai 'aslam' jo us ke qanun toDte hain

wagarna hum aise be-bason se KHuda bhala kab KHafa hua hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now