Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin

Arshad Abdul Hamid

jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin

Arshad Abdul Hamid

jaan āzār hai bīmārī-e-duniyā nahīñ

zaat tak mahdūd ho jaa.eñ to kuchh ḳhatrā nahīñ

ab hifāzat jitnī hai mahbūs ho jaane meñ hai

ḳhud ke bāhar ghūmne phirne ab mauqa nahīñ

us se milnā ābshāroñ se guzarnā thā magar

ḳhauf vo kaun tūfāñ thā jo aayā nahīñ

ab ke bichhḌe kab mileñge ab baar ik ye savāl

ham ne bhī pūchhā nahīñ us ne bhī batlāyā nahīñ

mo'atabar kitnā bhī ho har vāsta mashkūk hai

jo tasavvur meñ likhā vo ḳhat bhī pahuñchāyā nahīñ

mujh meñ ik bachcha jo muzmar hai bahut masrūr hai

in dinoñ duniyā se us mutlaqan rishtā nahīñ

mas.ala koī bhī ho 'arshad' muhīt-e-ishq hai

jo ġhazal rāh-rau ho raah se haTtā nahīñ

jaan ka aazar hai bimari-e-duniya nahin

zat tak mahdud ho jaen to kuchh KHatra nahin

ab hifazat jitni hai mahbus ho jaane mein hai

KHud ke bahar ghumne phirne ka ab mauqa nahin

us se milna aabshaaron se guzarna tha magar

KHauf ka wo kaun sa tufan tha jo aaya nahin

ab ke bichhDe kab milenge ab ki bar ek ye sawal

hum ne bhi puchha nahin us ne bhi batlaya nahin

mo'atabar kitna bhi ho har wasta mashkuk hai

jo tasawwur mein likha wo KHat bhi pahunchaya nahin

mujh mein ek bachcha jo muzmar hai bahut masrur hai

in dinon duniya se us ka mutlaqan rishta nahin

masala koi bhi ho 'arshad' muhit-e-ishq hai

jo ghazal ka rah-rau ho rah se haTta nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now