ye kya ki ho raha hai yaqin ek guman ka
ye kyā ki ho rahā hai yaqīñ ik gumān kā
lagtā hai vaqt aa hī gayā imtihān kā
thoḌā bahut to ḳhud ko samajhne lagā huuñ maiñ
samjho ki mil gayā hai sirā āsmān kā
ye aur baat hai ki ḳhalāoñ meñ gum huuñ maiñ
vaise to aadmī huuñ isī ḳhāk-dān kā
be-samt ho rahā hai mirī soch kā safar
ruḳh moḌ duuñ havāoñ kā yā bādbān kā
mehvar banā rahā huuñ agar apnī zaat ko
ye tajziya hai tauf nahīñ ān-bān kā
ik aur baaġh bhī hai pa-e-āb-o-gil udhar
mil jā.egā surāġh mujhe bāġhbān kā
maazī ke daftaroñ kā havāla na do use
'salmān' to safīr hai ā.indagān kā
ye kya ki ho raha hai yaqin ek guman ka
lagta hai waqt aa hi gaya imtihan ka
thoDa bahut to KHud ko samajhne laga hun main
samjho ki mil gaya hai sira aasman ka
ye aur baat hai ki KHalaon mein gum hun main
waise to aadmi hun isi KHak-dan ka
be-samt ho raha hai meri soch ka safar
ruKH moD dun hawaon ka ya baadban ka
mehwar bana raha hun agar apni zat ko
ye tajziya hai tauf nahin aan-ban ka
ek aur bagh bhi hai pa-e-ab-o-gil udhar
mil jaega suragh mujhe baghban ka
mazi ke daftaron ka hawala na do use
'salman' to safir hai aaindagan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.