Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna

Dagh Dehlvi

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna

Dagh Dehlvi

sitam karnā jafā karnā nigāh-e-ulfat kabhī na karnā

tumheñ qasam hai hamāre sar hamāre haq meñ kamī na karnā

hamārī mayyat pe tum jo aanā to chaar aañsū bahā ke jaanā

zarā rahe pās-e-ābrū bhī kahīñ hamārī hañsī na karnā

kahāñ aanā kahāñ jaanā vo jānte nahīñ ye rasmeñ

vahāñ hai va.ade bhī ye sūrat kabhī to karnā kabhī na karnā

liye to chalte haiñ hazrat-e-dil tumheñ bhī us anjuman meñ lekin

hamāre pahlū meñ baiTh kar tum hamīñ se pahlū-tahī na karnā

nahīñ hai kuchh qatl un āsāñ ye saḳht-jāñ haiñ bure balā ke

qazā ko pahle sharīk karnā ye kaam apnī ḳhushī na karnā

halāk andāz-e-vasl karnā ki parda rah jaa.e kuchh hamārā

ġham-e-judā.ī meñ ḳhaak kar ke kahīñ adū ḳhushī na karnā

mirī to hai baat zahr un ko vo un ke matlab na kyuuñ ho

ki un se jo iltijā se kahnā ġhazab hai un ko vahī na karnā

huā agar shauq aa.ine se to ruḳh rahe rāstī jānib

misāl-e-āriz safā.ī rakhnā ba-rañg-e-kākul kajī na karnā

vo hamārā tarīq-e-ulfat ki dushmanoñ se bhī mil ke chalnā

ye ek sheva tirā sitamgar ki dost se dostī na karnā

ham ek rasta galī us dikhā ke dil ko hue pashemāñ

ye hazrat-e-ḳhizr ko jatā do kisī tum rahbarī na karnā

bayān-e-dard-e-firāq kaisā ki hai vahāñ apnī ye haqīqat

jo baat karnī to naala karnā nahīñ to vo bhī kabhī na karnā

madār hai nāseho tumhīñ par tamām ab us munsifī

zarā to kahnā ḳhudā-lagī bhī faqat suḳhan-parvarī na karnā

burī hai ai 'dāġh' rāh-e-ulfat ḳhudā na le jaa.e aise raste

jo apnī tum ḳhair chāhte ho to bhuul kar dil-lagī na karnā

sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna

tumhein qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna

hamari mayyat pe tum jo aana to chaar aansu baha ke jaana

zara rahe pas-e-abru bhi kahin hamari hansi na karna

kahan ka aana kahan ka jaana wo jaante hi nahin ye rasmen

wahan hai wade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna

liye to chalte hain hazrat-e-dil tumhein bhi us anjuman mein lekin

hamare pahlu mein baiTh kar tum hamin se pahlu-tahi na karna

nahin hai kuchh qatl un ka aasan ye saKHt-jaan hain bure bala ke

qaza ko pahle sharik karna ye kaam apni KHushi na karna

halak andaz-e-wasl karna ki parda rah jae kuchh hamara

gham-e-judai mein KHak kar ke kahin adu ki KHushi na karna

meri to hai baat zahr un ko wo un ke matlab hi ki na kyun ho

ki un se jo iltija se kahna ghazab hai un ko wahi na karna

hua agar shauq aaine se to ruKH rahe rasti ki jaanib

misal-e-ariz safai rakhna ba-rang-e-kakul kaji na karna

wo hi hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna

ye ek shewa tera sitamgar ki dost se dosti na karna

hum ek rasta gali ka us ki dikha ke dil ko hue pasheman

ye hazrat-e-KHizr ko jata do kisi ki tum rahbari na karna

bayan-e-dard-e-firaq kaisa ki hai wahan apni ye haqiqat

jo baat karni to nala karna nahin to wo bhi kabhi na karna

madar hai naseho tumhin par tamam ab us ki munsifi ka

zara to kahna KHuda-lagi bhi faqat suKHan-parwari na karna

buri hai ai 'dagh' rah-e-ulfat KHuda na le jae aise raste

jo apni tum KHair chahte ho to bhul kar dil-lagi na karna

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now