silsile toD gaya wo sabhi jate jate
silsile toḌ gayā vo sabhī jaate jaate
varna itne to marāsim the ki aate jaate
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahīñ behtar thā
apne hisse kī koī sham.a jalāte jaate
kitnā āsāñ thā tire hijr meñ marnā jānāñ
phir bhī ik umr lagī jaan se jaate jaate
jashn-e-maqtal hī na barpā huā varna ham bhī
pā-ba-jaulāñ hī sahī nāchte gaate jaate
is kī vo jaane use pās-e-vafā thā ki na thā
tum 'farāz' apnī taraf se to nibhāte jaate
silsile toD gaya wo sabhi jate jate
warna itne to marasim the ki aate jate
shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jate
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan
phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate
jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
pa-ba-jaulan hi sahi nachte gate jate
is ki wo jaane use pas-e-wafa tha ki na tha
tum 'faraaz' apni taraf se to nibhate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.