Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki

Ahmad Nadeem Qasmi

ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki

Ahmad Nadeem Qasmi

ab to shahroñ se ḳhabar aatī hai dīvānoñ

koī pahchān baaqī nahīñ vīrānoñ

apnī poshāk se hushyār ki ḳhuddām-e-qadīm

dhajjiyāñ māñgte haiñ apne garebānoñ

san.ateñ phailtī jaatī haiñ magar is ke saath

sarhadeñ TūTtī jaatī haiñ gulistānoñ

dil meñ vo zaḳhm khile haiñ ki chaman kyā shai hai

ghar meñ bārāt utrī huī gul-dānoñ

un ko kyā fikr ki maiñ paar lagā Duubā

bahs karte rahe sāhil pe jo tūfānoñ

terī rahmat to musallam hai magar ye to batā

kaun bijlī ko ḳhabar detā hai kāshānoñ

maqbare bante haiñ zindoñ ke makānoñ se buland

kis qadar auj pe takrīm hai insānoñ

ek ik yaad ke hāthoñ pe charāġhoñ bhare tasht

ka.aba-e-dil fazā hai ki sanam-ḳhānoñ

ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki

koi pahchan hi baqi nahin viranon ki

apni poshak se hushyar ki KHuddam-e-qadim

dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki

sanaten phailti jati hain magar is ke sath

sarhaden TuTti jati hain gulistanon ki

dil mein wo zaKHm khile hain ki chaman kya shai hai

ghar mein baraat si utri hui gul-danon ki

un ko kya fikr ki main par laga ya Duba

bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki

teri rahmat to musallam hai magar ye to bata

kaun bijli ko KHabar deta hai kashanon ki

maqbare bante hain zindon ke makanon se buland

kis qadar auj pe takrim hai insanon ki

ek ek yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht

kaba-e-dil ki faza hai ki sanam-KHanon ki

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now