TuTe hue KHwabon ke liye aankh ye tar kyun
TuuTe hue ḳhvāboñ ke liye aañkh ye tar kyuuñ
socho to sahī shaam hai anjām-e-sahar kyuuñ
silte haiñ to sil jaa.eñ kise fikr laboñ kī
ḳhush-rang añdheroñ ko kahūñgā maiñ sahar kyuuñ
jo taaj sajā.e hue phirtā ho anā kā
hālāt ke qadmoñ pe jhukegā vahī sar kyuuñ
sochā kiyā maiñ hijr kī dahlīz pe baiThā
sadiyoñ meñ utar jaatā hai lamhoñ kā safar kyuuñ
harjā.ī hai 'shahzād' ye taslīm pa jaanā
sochā bhī kabhī tum ne huā aisā magar kyuuñ
TuTe hue KHwabon ke liye aankh ye tar kyun
socho to sahi sham hai anjam-e-sahar kyun
silte hain to sil jaen kise fikr labon ki
KHush-rang andheron ko kahunga main sahar kyun
jo taj sajae hue phirta ho ana ka
haalat ke qadmon pe jhukega wahi sar kyun
socha kiya main hijr ki dahliz pe baiTha
sadiyon mein utar jata hai lamhon ka safar kyun
harjai hai 'shahzad' ye taslim pa jaana
socha bhi kabhi tum ne hua aisa magar kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.