sharh-e-ġham haa.e be-hisāb huuñ maiñ
likhne baiThūñ to ik kitāb huuñ maiñ
merī barbādiyoñ pe mat jaao
un nigāhoñ kā intiḳhāb huuñ maiñ
ḳhvāb thā yā shabāb thā merā
do savāloñ kā ik javāb huuñ maiñ
madrasa merā merī zaat meñ hai
ḳhud moallim huuñ ḳhud kitāb huuñ maiñ
jī rahā huuñ is āb-o-tāb ke saath
kaise āsūda-e-shabāb huuñ maiñ
sharh-e-gham hae be-hisab hun main
likhne baiThun to ek kitab hun main
meri barbaadiyon pe mat jao
un nigahon ka intiKHab hun main
KHwab tha ya shabab tha mera
do sawalon ka ek jawab hun main
madrasa mera meri zat mein hai
KHud moallim hun KHud kitab hun main
ji raha hun is aab-o-tab ke sath
kaise aasuda-e-shabab hun main
Videos
This video is playing from YouTube
Saqi Amrohvi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.