us nazar ki sharab pita hun
us nazar kī sharāb piitā huuñ
bāda-e-kāmyāb piitā huuñ
parda-dārī-e-nazm-e-kun kī ḳhair
aaj maiñ be-hijāb piitā huuñ
jhuum jaate haiñ arsh o kausar o ḳhuld
jhuum kar jab sharāb piitā huuñ
rahmateñ be-hisāb hotī haiñ
maiñ jahāñ be-hisāb piitā huuñ
sāda, sāda-nigāhoñ ke nisār
halkī halkī sharāb piitā huuñ
uf ye merā jalāl-e-bāda-kashī
ghol kar āftāb piitā huuñ
zabt aur zabt-e-mustaqil 'sherī'
ThanDī ThanDī sharāb piitā huuñ
us nazar ki sharab pita hun
baada-e-kaamyab pita hun
parda-dari-e-nazm-e-kun ki KHair
aaj main be-hijab pita hun
jhum jate hain arsh o kausar o KHuld
jhum kar jab sharab pita hun
rahmaten be-hisab hoti hain
main jahan be-hisab pita hun
sada, sada-nigahon ke nisar
halki halki sharab pita hun
uf ye mera jalal-e-baada-kashi
ghol kar aaftab pita hun
zabt aur zabt-e-mustaqil 'sheri'
ThanDi ThanDi sharab pita hun
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 114)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.