mujhse chunan-chunin na karo main nashe main hun
mujh se chunāñ-chunīñ na karo maiñ nashe maiñ huuñ
maiñ jo kahūñ nahīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
insāñ nashe meñ ho to vo chhuptā nahīñ kabhī
har-chand tum yaqīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
ye vaqt hai farāḳh-dilī ke sulūk kā
tañg apnī āstīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
be-iḳhtiyār chuum na luuñ maiñ kahīñ inheñ
āñkhoñ ko ḳhashmagīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
har-chand mere haq meñ hai ye rahmat-e-ḳhudā
āñchal mire qarīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
nashshe meñ surḳh rañg tahī-az-ḳhatar nahī.?
hoñToñ ko ahmarīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
dekho maiñ kah rahā huuñ tumheñ pai-ba-pai 'adam'
mujh ko bahut hazīñ na karo maiñ nashe meñ huuñ
mujh se chunan-chunin na karo main nashe main hun
main jo kahun nahin na karo main nashe mein hun
insan nashe mein ho to wo chhupta nahin kabhi
har-chand tum yaqin na karo main nashe mein hun
ye waqt hai faraKH-dili ke suluk ka
tang apni aastin na karo main nashe mein hun
be-iKHtiyar chum na lun main kahin inhen
aankhon ko KHashmagin na karo main nashe mein hun
har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-KHuda
aanchal mere qarin na karo main nashe mein hun
nashshe mein surKH rang tahi-az-KHatar nahi?
honTon ko ahmarin na karo main nashe mein hun
dekho main kah raha hun tumhein pai-ba-pai 'adam'
mujh ko bahut hazin na karo main nashe mein hun
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 423)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.