maston ke jo usul hain un ko nibha ke pi
mastoñ ke jo usuul haiñ un ko nibhā ke pī
ik buuñd bhī na kal ke liye tū bachā ke pī
kyuuñ kar rahā hai kaalī ghaTāoñ ke intizār
un kī siyāh-zulf pe nazreñ jamā ke pī
chorī ḳhudā se jab nahīñ bandoñ se kis liye
chhupne meñ kuchh mazā nahīñ sab ko dikhā ke pī
'fayyāz' tū nayā hai na pī baat maan le
kaḌvī bahut sharāb hai paanī milā ke pī
maston ke jo usul hain un ko nibha ke pi
ek bund bhi na kal ke liye tu bacha ke pi
kyun kar raha hai kali ghaTaon ke intizar
un ki siyah-zulf pe nazren jama ke pi
chori KHuda se jab nahin bandon se kis liye
chhupne mein kuchh maza nahin sab ko dikha ke pi
'fayyaz' tu naya hai na pi baat man le
kaDwi bahut sharab hai pani mila ke pi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.