kal humne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
kal ham ne bazm-e-yār meñ kyā kyā sharāb pī
sahrā kī tishnagī thī so dariyā sharāb pī
apnoñ ne taj diyā hai to ġhairoñ meñ jā ke baiTh
ai ḳhānumāñ-ḳharāb na tanhā sharāb pī
tū ham-safar nahīñ hai to kyā sair-e-gulsitāñ
to ham-subū nahīñ hai to phir kyā sharāb pī
ai dil-girafta-e-ġham-e-jānāñ subū uThā
ai kushta-e-jafā-e-zamāna sharāb pī
ik mehrbāñ buzurg ne ye mashvara diyā
dukh kā koī 'ilāj nahīñ jā sharāb pī
bādal garaj rahā thā idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljhā sharāb pī
ai tū ki tere dar pe haiñ rindoñ ke jamghaTe
ik roz us faqīr ke ghar aa sharāb pī
do jaam un ke naam bhī ai pīr-e-mai-kada
jin raftagāñ ke saath hamesha sharāb pī
kal ham se apnā yaar ḳhafā ho gayā 'farāz'
shāyad ki ham ne had se ziyāda sharāb pī
kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi
sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi
apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baiTh
ai KHanuman-KHarab na tanha sharab pi
tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulsitan
to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi
ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu uTha
ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi
ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya
dukh ka koi 'ilaj nahin ja sharab pi
baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar
phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi
ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghaTe
ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi
do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada
jin raftagan ke sath hamesha sharab pi
kal hum se apna yar KHafa ho gaya 'faraaz'
shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 222)
- Author : Ahmad faraz
- Publication : Fareed book depot(pvt)ltd (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.