Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya

Abdul Hamid Adam

hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya

Abdul Hamid Adam

hañs hañs ke jaam jaam ko chhalkā ke gayā

vo ḳhud pilā rahe the maiñ lahrā ke gayā

tauba ke TūTne bhī kuchh kuchh malāl thā

tham tham ke soch soch ke sharmā ke gayā

sāġhar-ba-dast baiThī rahī merī aarzū

saaqī shafaq se jaam ko Takrā ke gayā

vo dushmanoñ ke tanz ko Thukrā ke ga.e

maiñ dostoñ ke ġhaiz ko bhaḌkā ke gayā

sad.hā mutālibāt ke ba.ad ek jām-e-talḳh

duniyā-e-jabr-o-sabr ko dhaḌkā ke gayā

sau baar laġhzishoñ qasam khā ke chhoḌ

sau baar chhoḌne qasam khā ke gayā

piitā kahāñ thā sub.h-e-azal maiñ bhalā 'adam'

saaqī ke e'tibār pe lahrā ke gayā

hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya

wo KHud pila rahe the main lahra ke pi gaya

tauba ke TuTne ka bhi kuchh kuchh malal tha

tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya

saghar-ba-dast baiThi rahi meri aarzu

saqi shafaq se jam ko Takra ke pi gaya

wo dushmanon ke tanz ko Thukra ke pi gae

main doston ke ghaiz ko bhaDka ke pi gaya

sadha mutalibaat ke baad ek jam-e-talKH

duniya-e-jabr-o-sabr ko dhaDka ke pi gaya

sau bar laghzishon ki qasam kha ke chhoD di

sau bar chhoDne ki qasam kha ke pi gaya

pita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam'

saqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 308)
  • Author : Khwaja Mohammad Zakariya
  • Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
  • Edition : 2009

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now