humse chunan-chunin na karo hum nashe mein hain
ham se chunāñ-chunīñ na karo ham nashe meñ haiñ
ham jo kaheñ nahīñ na karo ham nashe meñ haiñ
nashsha koī Dhakī-chhupī tahrīk to nahīñ
har-chand tum yaqīñ na karo ham nashe meñ haiñ
aisā na ho ki aap kī bāñhoñ meñ aa gireñ
āñkhoñ ko ḳhashmagīñ na karo ham nashe meñ haiñ
bāteñ karo nigār o bahār o sharāb kī
azkār-e-shar-o-dīñ na karo ham nashe meñ haiñ
ye vaqt hai 'adam' kī tavāzo.a kā sāhibo
tañg apnī āstīñ na karo ham nashe meñ haiñ
hum se chunan-chunin na karo hum nashe mein hain
hum jo kahen nahin na karo hum nashe mein hain
nashsha koi Dhaki-chhupi tahrik to nahin
har-chand tum yaqin na karo hum nashe mein hain
aisa na ho ki aap ki banhon mein aa giren
aankhon ko KHashmagin na karo hum nashe mein hain
baaten karo nigar o bahaar o sharab ki
azkar-e-shar-o-din na karo hum nashe mein hain
ye waqt hai 'adam' ki tawazoa ka sahibo
tang apni aastin na karo hum nashe mein hain
- Book : Adam ki behtareen ghazlein (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.