humne kisi ki yaad mein aksar sharab pi
ham ne kisī kī yaad meñ aksar sharāb pī
pī kar ġhazal kahī to mukarrar sharāb pī
yādoñ kā ik hujūm thā tanhā nahīñ thā maiñ
sāhil kī chāñdnī meñ samundar sharāb pī
muddat ke baa'd aaj maiñ office nahīñ gayā
ḳhud apne saath baiTh ke din bhar sharāb pī
is cocktail kā to nasha hī kuchh aur hai
ġham ko ḳhushī ke saath milā kar sharāb pī
vaise to ham ne pī hī nahīñ thī kabhī sharāb
piine lage to vajd meñ aa kar sharāb pī
ab kaun jā ke sāhib-e-mimbar se ye kahe
kyuuñ ḳhuun pī rahā hai sitamgar sharāb pī
hum ne kisi ki yaad mein aksar sharab pi
pi kar ghazal kahi to mukarrar sharab pi
yaadon ka ek hujum tha tanha nahin tha main
sahil ki chandni mein samundar sharab pi
muddat ke ba'd aaj main office nahin gaya
KHud apne sath baiTh ke din bhar sharab pi
is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai
gham ko KHushi ke sath mila kar sharab pi
waise to hum ne pi hi nahin thi kabhi sharab
pine lage to wajd mein aa kar sharab pi
ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe
kyun KHun pi raha hai sitamgar sharab pi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.