Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun

Zafar Sahbai

shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun

Zafar Sahbai

shab ke ġham din ke azāboñ se alag rakhtā huuñ

saarī tābīroñ ko ḳhvāboñ se alag rakhtā huuñ

jo paḌhā hai use jiinā nahīñ hai mumkin

zindagī ko maiñ kitāboñ se alag rakhtā huuñ

us taqdīs pe dhabba nahīñ lagne detā

dāman-e-dil ko hisāboñ se alag rakhtā huuñ

ye amal ret ko paanī nahīñ banñe detā

pyaas ko apnī sarāboñ se alag rakhtā huuñ

us ke dar par nahīñ likhtā maiñ hisāb-e-duniyā

dil masjid ko ḳharāboñ se alag rakhtā huuñ

shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun

sari tabiron ko KHwabon se alag rakhta hun

jo paDha hai use jina hi nahin hai mumkin

zindagi ko main kitabon se alag rakhta hun

us ki taqdis pe dhabba nahin lagne deta

daman-e-dil ko hisabon se alag rakhta hun

ye amal ret ko pani nahin banne deta

pyas ko apni sarabon se alag rakhta hun

us ke dar par nahin likhta main hisab-e-duniya

dil ki masjid ko KHarabon se alag rakhta hun

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now