Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka

Murli Dhar Shad

shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka

Murli Dhar Shad

shab-e-hijr meñ yaad aanā kisī

satā.e hue ko satānā kisī

kabhī pyaar bāteñ vo chupke chupke

kabhī naaz se ruuTh jaanā kisī

vo bholī adā.eñ na kyuuñ yaad aa.eñ

laḌakpan meñ thā kyā zamāna kisī

kabhī thī vo ġhusse chitvan qayāmat

kabhī ājizī se manānā kisī

vo dil ban ke dām-e-mohabbat meñ aayā

ki zulfoñ meñ thā āshiyānā kisī

nazar lag ga.ī mere dushman mujh ko

qayāmat huā ruuTh jaanā kisī

khilā.egā gul rañg lā.egā ai 'shād'

tujhe dekh kar muskurānā kisī

shab-e-hijr mein yaad aana kisi ka

satae hue ko satana kisi ka

kabhi pyar ki baaten wo chupke chupke

kabhi naz se ruTh jaana kisi ka

wo bholi adaen na kyun yaad aaen

laDakpan mein tha kya zamana kisi ka

kabhi thi wo ghusse ki chitwan qayamat

kabhi aajizi se manana kisi ka

wo dil ban ke dam-e-mohabbat mein aaya

ki zulfon mein tha aashiyana kisi ka

nazar lag gai mere dushman ki mujh ko

qayamat hua ruTh jaana kisi ka

khilaega gul rang laega ai 'shad'

tujhe dekh kar muskurana kisi ka

Source :
  • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 152)
  • Author : Aziz Nabeel
  • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
  • Edition : 2013-14
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now