shane ka bahut KHun-e-jigar jae hai pyare
shāne kā bahut ḳhūn-e-jigar jaa.e hai pyāre
tab zulf kahīñ tā-ba-kamar jaa.e hai pyāre
jis din koī ġham mujh pe guzar jaa.e hai pyāre
chehra tirā us roz nikhar jaa.e hai pyāre
ik ghar bhī salāmat nahīñ ab shahr-e-vafā meñ
tū aag lagāne ko kidhar jaa.e hai pyāre
rahne de jafāoñ kī kaḌī dhuup meñ mujh ko
saa.e meñ to har shaḳhs Thahar jaa.e hai pyāre
vo baat zarā sī jise kahte haiñ ġham-e-dil
samjhāne meñ ik umr guzar jaa.e hai pyāre
har-chand koī naam nahīñ merī ġhazal meñ
terī hī taraf sab kī nazar jaa.e pyāre
shane ka bahut KHun-e-jigar jae hai pyare
tab zulf kahin ta-ba-kamar jae hai pyare
jis din koi gham mujh pe guzar jae hai pyare
chehra tera us roz nikhar jae hai pyare
ek ghar bhi salamat nahin ab shahr-e-wafa mein
tu aag lagane ko kidhar jae hai pyare
rahne de jafaon ki kaDi dhup mein mujh ko
sae mein to har shaKHs Thahar jae hai pyare
wo baat zara si jise kahte hain gham-e-dil
samjhane mein ek umr guzar jae hai pyare
har-chand koi nam nahin meri ghazal mein
teri hi taraf sab ki nazar jae pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.