Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham

Nisar Tareen Jazib

ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham

Nisar Tareen Jazib

tā-hashr zid meñ sub.h aatī rahegī shaam

gul hoñge jo charāġh jalātī rahegī shaam

har shaam le ke aa.egī paiġhām sub.h

har sub.h jal ke dhuup meñ laatī rahegī shaam

sham.eñ jalā ke shaam se nafrat kareñge log

logoñ ko pyaar karnā sikhātī rahegī shaam

taz.īn-e-chashm ho na ho kājal dhaar se

be-vaqt bhī jahān meñ aatī rahegī shaam

jaise hinā.ī haath ho Duubā sharāb meñ

manzar hameñ vo roz dikhātī rahegī shaam

jaane lageñgī baaġh se jab din rāniyāñ

rātoñ rāniyoñ ko jagātī rahegī shaam

thak kar giregā to ye sambhālegī god meñ

sūraj ko TūTne se bachātī rahegī shaam

insāñ to pheñk deñge libās-e-hayā ko duur

un har ik gunāh chhupātī rahegī shaam

kisht-e-falak meñ Daal ke ḳhūn-e-shafaq khaad

tāroñ ek fasl ugātī rahegī shaam

kirneñ kuchh āftāb 'jāzib' sameT kar

motī ridā-e-shab pe sajātī rahegī shaam

ta-hashr zid mein subh ki aati rahegi sham

gul honge jo charagh jalati rahegi sham

har sham le ke aaegi paigham subh ka

har subh jal ke dhup mein lati rahegi sham

shamen jala ke sham se nafrat karenge log

logon ko pyar karna sikhati rahegi sham

tazin-e-chashm ho na ho kajal ki dhaar se

be-waqt bhi jahan mein aati rahegi sham

jaise hinai hath ho Duba sharab mein

manzar hamein wo roz dikhati rahegi sham

jaane lagengi bagh se jab din ki raniyan

raaton ki raniyon ko jagati rahegi sham

thak kar girega to ye sambhaalegi god mein

suraj ko TuTne se bachati rahegi sham

insan to phenk denge libas-e-haya ko dur

un ka har ek gunah chhupati rahegi sham

kisht-e-falak mein Dal ke KHun-e-shafaq ki khad

taron ki ek fasl ugati rahegi sham

kirnen kuchh aaftab ki 'jazib' sameT kar

moti rida-e-shab pe sajati rahegi sham

Source :
  • Book : auraq salnama magazines (Pg. 532)
  • Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
  • Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
  • Edition : 1967

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now