Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaeri jhuT sahi ishq fasana hi sahi

Sameena Raja

shaeri jhuT sahi ishq fasana hi sahi

Sameena Raja

shā.erī jhuuT sahī ishq fasāna sahī

zinda rahne ke liye koī bahāna sahī

ḳhaak lauh pe likkhā to gayā naam mirā

asl maqsūd tirā mujh ko miTānā sahī

ḳhvāb-e-uryāñ to isī tarah tar-o-tāza hai

haañ mirī niiñd malbūs purānā sahī

ek uḌte hue sayyāre ke pīchhe pīchhe

koī imkān koī shauq ravāna sahī

kyā kareñ aañkh agar us se sivā chāhtī hai

ye jahān-e-guzarāñ ā.ina-ḳhāna sahī

dil farmān sar-e-dast uThā rakhte haiñ

ḳhair kuchh roz ko takmīl-e-zamāna sahī

shaeri jhuT sahi ishq fasana hi sahi

zinda rahne ke liye koi bahana hi sahi

KHak ki lauh pe likkha to gaya nam mera

asl maqsud tera mujh ko miTana hi sahi

KHwab-e-uryan to isi tarah tar-o-taza hai

han meri nind ka malbus purana hi sahi

ek uDte hue sayyare ke pichhe pichhe

koi imkan koi shauq rawana hi sahi

kya karen aankh agar us se siwa chahti hai

ye jahan-e-guzaran aaina-KHana hi sahi

dil ka farman sar-e-dast uTha rakhte hain

KHair kuchh roz ko takmil-e-zamana hi sahi

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 31.03.2015)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now