main tere waste chhoD aai jahan
maiñ tire vāste chhoḌ aa.ī jahāñ
dil tujhe ab pukāre ki tū hai kahāñ
ai parinde mire ghar makīñ ban ke rah
chhīn letā hai sab kuchh yahāñ āsmāñ
ḳhud ko tanhā rakhā ḳhud ko saada rakhā
ab maiñ rangīniyāñ le ke jā.ūñ kahāñ
pahle hañsnā hañsānā sikhāyā mujhe
phir havāle mire kar diiñ tanhā.iyāñ
be-sabab hī sañvartī rahī 'āshiqī
ham ko phīkī lagī saarī rā'nā.iyāñ
main tere waste chhoD aai jahan
dil tujhe ab pukare ki tu hai kahan
ai parinde mere ghar makin ban ke rah
chhin leta hai sab kuchh yahan aasman
KHud ko tanha rakha KHud ko sada rakha
ab main ranginiyan le ke jaun kahan
pahle hansna hansana sikhaya mujhe
phir hawale mere kar din tanhaiyan
be-sabab hi sanwarti rahi 'ashiqi
hum ko phiki lagi sari ra'naiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.